Main Aap Apna Jawab Aur Aap Apni Nazeer

Main Aap Apna Jawab Aur Aap Apni Nazeer
Khud Apne Shehr Me Tanha , Khud Apne Ghar Me Faqeer

Gumaan Juloos Ka Hota Hai , Jab B Chalta Hai
Mer Jilau Me , Meri Hasraton Ka Jamm-i-Ghafeer

Bikhar Gaya Hun Kuch Is Tarha Satha-i-Aalam Par
K Meri Khaak Hi Hoti Hai Meri Daman Geer

Tamaam Sehan-i-Chaman Aag Ki Lapait Me Hai
K Rang-i-Gul B Hua Is Sadi Me Aatash Geer

Me Phail Jaun Ga Chaaron Taraf Khala Ki Tarha
Abhi Wujood Hai Mera Faseel-i-Jaan Me Aseer

Kisi Se Zair Na Ho Paye Fikr-O-Fun K Diyar
K Mulk Fatha Hue , Par Hue Na Dil Taskheer

Tamaam Zaviya-i-Zehn K Karishme Hain
K Rukh Badal K Jo Dekha , Badal Gai Taqdeer

Kabhi To Phool Khilein Ge Zameer-i-Aadam Me
Agar Ye Sach Hai K Mitti Hai Aadmi Ka Khameer

Fasad-i-Khalq K Dar Se *NADEEM* Apni Ghazal
Na Parh Saka To Wo Deewar Par Hui Tehreer
 
Top