~*Mai tumhare naam likhta hun*~

indexphpactiondlattachtopic209836-1.0;a

Tumharay naam likhta hoon...!!
Tumhare naam likhta hun,
Muhabbat aur khusboo ke,
Wafaon ke massarat ke,
Dhadakte dil ke wo nagme,
Jo insano ki dharti par,
Har eek mausam me gaye hain !

Tumhare naam likhta hun,
Akhuwat aur ulfat ke,
Sadakat aur azmat ke,
Wo phoolon jaise afsane,
Jo iss duniyan me logon ne,
Sune hain aur sunaye hain !

Tumhare naam likhta hun,
Hakeekat aur hikamat ke,
Sharafat aur zurrat ke,
Wo lafzon ke khazane sab,
Talase aadmiyat ne,
Jo khud ko kho ke paye hain !

Tumhare naam likhta Hun,
Sabhi ehsas aur e dil,
Yakeeno-azmo- mustakbil,
Jinhe paane ki hasarat me,
Farishton ne mujhe chaha,
Magar mai apani sari kaynat,
Apana sabhi haseel,
Tumhare naam likhta Hun !

Tumhare naam likhta Hun,
Hansi phoolon ka e mausham,
Gulo bulbul ke afsane,
Khiiza,sawan, ghata,badal,
O teri aankh ka kajal,
Dhanak ne Jo banaya tha,
O purwayee Jo khusboo le ke aayee,
Tere aanchal ki,
Tumhare naam likhta Hun !

Tumhare naam likta Hun,
Eh dhadkan apane seene ki,
Har wo khwahis,o armaan,
Oh dil ki butparashti,
Jise duniya ki har sai ne,
Muhabbat naam rakha hai,
Tumhare naam likhta Hun !

Tumhare naam likhta hun,
Rawani apane nagmon ki,
Gharonda pyar se tha jo banaya,
teri chahat me,
Uski tooti huyee har deewaron,
Aur chhappar ki kahani,
Mai tumhare naam likhta hun !!



 
Top