Old Lyrics Kya Maar Sakegi Maut Use Lyrics - Sanyasi (1975)

Goku

Prime VIP
Staff member
Kya mar sakegi maut use
Oro ke liye jo jita hai
Milta hai jaha ka pyar use
Oro ke jo ansu pita hai
Kya mar sakegi maut use
Oro ke liye jo jita hai
Milta hai jaha ka pyar use
Oro ke jo ansu pita hai
Kya mar sakegi maut use

Balapan vidya ke liye hai
Bhog ke liye jawani hai
Balapan vidya ke liye hai
Bhog ke liye jawani hai
Jog ke liye budapa hai
Ye jag ki reet purani hai
Hai karm yog hi yog bada
Yahi sachayi yahi geeta hai
Milta hai jaha ka pyar use
Oro ke jo ansu pita hai
Kya mar sakegi maut use
Oro ke liye jo jita hai
Milta hai jaha ka pyar use
Oro ke jo ansu pita hai
Kya mar sakegi maut use

Hona hota hai jinko amar
Wo log to marte hi aaye
Hona hota hai jinko amar
Wo log to marte hi aaye
Oro ke liye jiwan apna balidan
Wo karte hi aaye
Dharti ko diye jisne badal
Wo sagar kabhi na reeta hai
Milta hai jaha ka pyar use
Oro ke jo ansu pita hai
Kya mar sakegi maut use

Jisne wish piya bana sankar
Jisne wish piya bani meera
Jisne wish piya bana sankar
Jisne wish piya bani meera
Jo cheda gaya ban moti
Jo kata gaya bana heera
Wo nar hai to hai ram
Wo nari hai to sita hai
Milta hai jaha ka pyar use
Oro ke jo ansu pita hai
Kya mar sakegi maut use
Oro ke liye jo jita hai
Milta hai jaha ka pyar use
Oro ke jo ansu pita hai
Kya mar sakegi maut use.

 
Top