Old Lyrics Kya Lenge Aap Lyrics - Dafaa 302 (1975)

Goku

Prime VIP
Staff member
Aaiye are aaiye na tashrif laaiye
Kamal hai pahli bar aye hai hamare ghar aap
Aji pahli bar hua hai aapse milaap
Kahiye kahiye na kahiye kahiye kahiye na
Kya lenge aap kuchh to lena padega
Khidmat ka moka hame dena padega
Kya lenge aap kuchh to lena padega
Maykhane wali hai paimane wali hai
Aankho ki lali hai nazaro ki pyali hai
Kya lenge aap kuchh to lena padega
Kya lenge aap kuchh to lena padega

Ham hai khuda ki tarah akele
Aao aao na kyu ghabrate ho
Kya hamse koi khata ho gayi
Kuchh naraaz nazar ate ho
Kya lenge aap kuchh to lena padega
Khidmat ka moka hame dena padega
Kya lenge aap kuchh to lena padega

Aane ki fursat mili bahut dino ke baad
Par badi umar hai aapki abhi kiya tha yaad
Aapke bangle par aa gayi mai agar
Kya karenge nahi aap khatir
Dekhenge kuchh yaha milta hai kuchh waha
Zindagi ek soda hai akhir
Aise hi na jane dungi aisa na chalega
Kya lenge aap kuchh to lena padega
Kya lenge aap kuchh to lena padega
Maykhane wali hai paimane wali hai
Aankho ki lali hai nazaro ki pyali hai
Kya lenge aap kuchh to lena padega
Kya lenge aap kuchh to lena padega.
 
Top