Kuch log sitam kerne ko

Kuch log sitam kerne ko
taiyaar bethe hain
kuch log mager hum pe
dil haar bethe hain

Ishq ko aag ka dariya hi
samajh lijiye hazoor,
koi uss paar betha hai tu,
hum iss paar bethe hain.

Kon kehta hai ke is shehar main,
saare hain bewafa,
hamare samne du chaar
wafadaar bethe hain.

Duniyaa se rooth jane ki
khwahish hai hamari,
kiya karoon is khwahish pe
pehredaar bethe hain..!!



By UNknown
 
Top