koi faraz sa kafir nahi tha gaazi tha

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tamam umar usi kay rahay yeh kia kum hai

shu,aar apnaa hii jis ka bahana saazi tha
woh meray jhoot say khush tha na sach pay raazi tha

tamam umar usi kay rahay yeh kia kum hai
bala say ishq haqeeqi na tha mizaaji tha

na tanz kar kay kai baar keh chuka tujh say
woh meri pehli muhabbat to mera maazi tha

na dost yaar, na naseh,na nama ber, na raqaib
bhala kashn-e-muhabbat say kon raazi tha

yeh gul shudha si jo shamaain dikhai deyti hain
hunar in ankhoon ka agay sitara saazi tha

Aado kay samnay hathyaar dalnay wala
koi faraz sa kafir nahi tha gaazi tha
 
Top