Kitna muskil…

Kitna muskil hai yu zabardasti Khilkhilana…
Kisi ki baat dil tod jaane par bhi muskurana…
Har lamha sitamgar nazar aata hai..
Tumahara naame zikar meri jaan nikaal jaata hai,
Sabki tikhi nazar mujhe zhinzod jaati hai,
Unke har taane par mujhe tumahari yaad aati hai,
Aisa nahi ki zindagi ke palo mein khusiyo ka sawera nahi..
Par dhalti sham ki roshni us sawere ko chupa jaati hai,
Jab in palo mein mujhe sabse jaada andhera nazar aata hai…
Tab kahi dur tumahar muskurata chera nazar aata hai
Meri zindagi ka safar sagar pe aate nazar shitij ki tarah hai….
Jab lage ki gum ki zindagi ka aant aaya hai..
Manzil dur aur dur hoti chali jaati hai…
 
Top