Khud apni tabahi par nahi likhta

~¤Akash¤~

Prime VIP
Main bewafai par nahi likhta.
Aur mai sochta hoon ki mai
Unki ruswai par nahi likhta.
Khud Apne se zyada bura,
Is Zamane mai kaun hai.
MaiN isliye doosron ki burai par nahi likhta.

Kuch to aadat se majboor hai
Aur kuch fitraton ki pasand hai
Zakham kitne bhi gahre ho
Main unki duhai par nahi likhta

Duniya ka kiya hai,
Har haal mai ilzaam lagati hai.
Varna kiya baat ki
Mai apni safai par nahi likhta

samundar ko parkhne ka,
Mera nazariya hi alag hai yaaro.
Mizazon par likhta hoon,
Main uski gahrai par nahi likhta.

Paraye dard ko mai gazlon mai,
Mahsoos karta hoon.
Yeh sach hai mai ,
sazar se fal" ki judai par nahi likhta.

Tazurba unki muhabbat ka,
Na likhne ki bajah bas ye hai..
Ki Shayar ishq mai,
Khud apni tabahi par nahi likhta
 
Top