sohna munda2
Heart winner,Girls lover

Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,
Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,
Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya
2nd poem
Sach Kehte Hai Tum Roothe To Hum Mar Jayenge
Tumko Khokar Ish Jag Mein Kya Hum Reh Payenge
Hum Bhi Mar Jayenge
Kal Sare Din Tum Naa Mile To Hum Tadape Kitna
Utna Hi Hum Tadape Saathi Tum Tadpe Jitna
Mujhse Keh Do Ab Naa Aese Pal Fir Aayenge
Haa Ab Nahi Aayenge
Pal Bhar Bhi Door Naa Hona In Ankhiyo Se Tum
Bas Mein Ho To In Naino Mein Ho Jao Main Gum
Saath Raho Tum To Dukh Mein Bhi Hum Muskayenge
Hum Saath Nibhaye
Tum Kyu Tum Aur Main Kyu Main Hu Kyu Hai Ye Doori
Ish Doori Bin Prem Kahani Kese Ho Poori
Kab Ye Hoga Jab Main Aur Tum Ek Ho Jayenge
Wo Din Bhi Aayenge
Sach Kehte Hai Tum Roothe To Hum Mar Jayenge
Tumko Khokar Ish Jag Mai
3rd
Ye mohabbat hai, zara soch ke karna
Ek ansoo bhi gira to sunai dega.
Zindegi ke raho mein jo milenge
Mere hoslon se kam milinge
Jab khud ko tanha pao kabhi
Bas yaad karna aur samne hum milenge.
Dilse tera khayal na jaye to kya karoon
Tu hi bata tu yaad aaye to kya karun
Hasrat yeh hai ke ek nazar tujhe mil lun
Magar kismat who lamha na laye to kya karun.
Har waqt muskurana fitrat hai hamari
Aap yuhin khus rahe hasrat hai hamari
Aapko hum yaad aye naaye
Aapsa dost ko yaad karna adat hai hamari
Mangte hain duaa tumahare liye
Man mein koi gila nehin
Duniyaki har khusiyan tumehain mile
Jo kisiko mila nehin.
Nigahein aapki pehchaan hai hamari
Muskurahat aapki saan hai hamari
Rkhna hifazat se aap apne ko
Kyon ki dosti aap ki jaan hai hamari.
Do pal zindegi yun hi beet jayegi
Kali raat ke baad nayi subah ayegi
Agar doston ki yaad satayegi to
Kasam se aapki yaad sabse pehle aayegi
Gile sikwe bhi seh lete hein
Thodi zindegi yun bhi jee lete hein
4th
AAJ USKI YAAD NE HAME TARPAYA BAHUT
AAJ NA CHAHTE HUE BHI WO YAAD AAYA BHUT
US KE BAAD TO JAISE WESHATOON SE DOSTI HO GAYE
PHIR KYUN TANHAYO NE AAJ DARAYA BAHUT
WO MERI THI MERI HAI MERI RAHENGI
YAH SOCH K DIL KO BEHLAYA BAHUT
SHAMA K JALNE PE AFSOOS KARE KYUN
HUMNE BHI MANAND-E-SHAMA KHUD KO JALAYA BAHUT
HUM NE JIS KISI KO BHI HAMDARD SAMJHA
WO NA JANE KYUN HAMARE DARD PAI MUSKURAYA BAHUT
