kabhi phir rooth jaoon to

#m@nn#

The He4rt H4ck3r
kabhi phir rooth jaoon to …
mujhay phir se mana laina,
kabhi jo azmaoon to …
na khud ko tum gira daina,

mujhay majboor kertay ho
aur khud se door kertay ho
kabhi jo door jaoon to …
na phir mujh ko saza daina,

magar haan yeah tumhain huq hai
tumhain poori hai azadi
kabhi dil ko ddukhaoon to …
mujhay dil se bhula daina,

sang beetay jo lamhay thay
agar ankhoon main bas aien
aur her pal yaad aoon to …
bas chand ansoo baha laina,

kabhi phir rooth jaoon to …
mujhay phir se mana laina,
kabhi jo azmaoon to …
na khud ko tum gira daina,

Writer :dk
 
Top