jo kal kabhi meri thi aaj har chij par uska naam hai…

~¤Akash¤~

Prime VIP

Na kabhi dekha ek- dusare ko
Na kabhi jana ek- dusare ko…
par kyon vo mujhe apna sa laga
anjaane me hi dil ki dhadkano ka
rukh gaya uski taraf…
Uski baaten , uski hasi sab kuch
achanak accha sa lagne laga…
Use dil ki gahraiyon me utarte-utarte
na jaane khud hi kaha kho gai…
Jab hua samna usase to na jaane
kyon vo begano saa lagne laga…
kya ye vahi tha jisase kabhi dil ki
har ek baat kahi
jisase meri tanhaiyan kabhi aabaad hui…
Pata nahi vo badla ki waqt badla
par ab to shayad mera najariya hi badlane laga…
mile jab kabhi tanhaiyon me vo mujhe to puchu
kitna jaana usane mujhe khud mujhse…
ab to har ek chij par uska hi nisan hai
jo kal kabhi meri thi aaj har chij par uska naam hai…
 
Top