Jis ki khatir ham huaye hain bekhabar aram say haye woh zal

~¤Akash¤~

Prime VIP
Jis ki khatir ham huaye hain bekhabar aram say

haye woh zalim para hai saij par aram say


bhool jao jo bhi tha ab tak hamaray darmyan

us nay mujh say keh dia yae kis qadar aram say


dil k zakhmon ko bhi bhar deta hai marham waqt ka

zakhm bhar jayen gay apnay bhi magar aram say


gir k phir uthna sambhalna phir sambhal kar dorna

waqt sikhlata hai yae saray hunar aram say


apnay khon say abyari is ki kartay jaiye

haan samar day ga umeedon ka shajar aram say


kash meray hath mai tu hath day deta kabhi

kat hi jata zndagi ka yae safar aram say


shairee mai keh dia dekha jo safr-e-zeest mai

kar dia "asim" nay qisa mukhtasar aram say
 
Top