jinkey jasbaat daulat ke samney bik jaatey hain....

na rokey aaj hamey koi dard mein doob jane de
jitney bhi ansoo kaid hai aaj unko bahane de

suna hai humney pani ki dhaar se patthar bhi katjate hain
dekhenge haal pe mere kya sang dil bhi pigal jatey hain

arey teez bijli ki dhaar bhi na unhey kaat saki
ansoo toh unkay saamney yuhi bekaar mein behjatey hain

pyaar ki ulfat unko kya maloom hai
jinkey jasbaat daulat ke samney bik jaatey hain....


by :dn
 
Top