Is dil mein kayi hasratein hai,In sab ka main kya karu Kab t

~¤Akash¤~

Prime VIP
Is dil mein kayi hasratein hai,In sab ka main kya karu
Kab tak jeeyu ghut-ghut kar,kab tak dil ki bekraari zinda rakhu..!!!

laakhon rang hai is duniya mein,husn wale bhi hai bohat
ban jau main kisi aur ka,ya teri chahat ko zinda rakhu..!!!

sochta hun ki kya tu kabhi aayegi muzhse pyaar karegi
Us aas ke pinjare ko tod du ya use zinda rakhu..!!!!

Kya bharosa zindgi ka kab saath chhod jaaye
kab tak maangkar khuda se zindgi khud ko zinda rakhu..!!!
 
Top