In aaNsoo ko aise giraanaa nahii thaa

~¤Akash¤~

Prime VIP
ki doorii ko apni barhaana nahiin thaa
HameN pyaar ko aazmaana nahiin thaa.

Na hii haath pakkdha ,na ko.ii guzaarish
Theharne ka ko.ii bahana nahi tha

wo waslon ke sapne,vo khushbu badan ki
MaiN jaag.ii to tera thikana nahin tha

wo laila ke qisse,Wo ranjhe ki baaten
Juda sabe unkaa,fasaanaa nahin tha

ki daaman pe unke kayii daagh aaye
In aaNsoo ko aise giraanaa nahii thaa
 
Top