Ikk pal bhi us ko bhool na paun tou

Raaton mein agar na ashk bahaun tou kya karoon,
Ikk pal bhi us ko bhool na paun tou kya karoon,

Mein ne suna hai un ko andhere nahi passand,
Rahon mein ab mein dil na jalaun tou kya karoon,


Tum hi kaho chhod de jab zindagi bhi saath,
Phir maut ko gale na lagaun tou kya karoon,

Socha thaa ke chhod doon un ki gali,
Lekin kahin qaraar na paun tou kya karoon,
 
Top