IBPS ka punchnama

Arun Bhardwaj

-->> Rule-Breaker <<--
IBPS ka punchnama :P
Problem kya hai?
Problem ye hai ki hum IBPS ki preparation kar rhe hain..aur kya problem hai..problem ye hai ki IBPS student ki life me koi prob na ho
to yeh uss se bhi badi problem hai.
Basically har student ki life me ek time aata h jab usko apni life mei kuch adventure krne ka mann krta h..And issi chakkar me
woh IBPS ki tayyari shuru karta h .
apni 9-6 ki job ke baad bhi kisi tarah time nikalta hai...office mei chori chhupe GA power capsule padhta hai..neend mei
bank mei jaa ke millne waali salary ke sapne leta hai :P Kabhi Mahendras toh kabhi career power
ke mock deta hai...saala shuru mei toh mock hi maar lete hain..aur jab kisi tarah banda mock mei confident hona
shuru ho jaaye toh pta chalta hai ki pattern change ho gya...!!!!
chalo kisi tarah uss sadme se bahar nikal ke banda IBPS dene gya..
1st attempt ..pre clear second attempt mains ......finally interview k din...if engineer ho tum fir toh :P .aur agar male
engineer ho tab toh beta tumhari lag gyi...interview me que jab tk puchte rhenge tab tak tum khud na bol do ki btech karke galti kar di :P
Aur inn sab k baad bhi nhi maante.... IBPS ki tyari kab start ki?itne attempt kyu lg gye?.purane paap(acedemic qualifications) yaad dilaye jaate hain... why are your acedemic records so abysmal?jawaab do souch kya rhe ho...abay souch rha hu yeh IBPS ki tyari kis ghadi me start ki.. bhai jab 10th 12th
ke marks dekh ke hi marks dene the toh IBPS exam ka wait hi kyu karte ho...10th ke baad hi direct hi bank manager bna dete
Aur inn sab k baad bhi sabse bada syapa,final result k liye bhi 1april ka wait....!!!salo ne life ka hi April fool bna rkha hai!!!!!!
AUR agar inn sab syapo ke baad bhi Galti se koi bank mil gya toh final joining k liye wait ! wait aur wait
:p :p
 
Top