Humein tum yaad rehte ho Humein bhoola nahi karna

~¤Akash¤~

Prime VIP
Wafa ruswa nahi karna Suno aisa nahi karna
Main pehle hi akela hoon Mujhe tanha nahi karna

Juddai bhi agar aaye to Dil chota nahi karna
Bahut masroof ho jaana Mujhe socha nahi karna

Bharosa bhi zaroori hai Magar sab ka nahi karna
Muqaddar phir Muqaddar hai Kabhi daawa nahi karna

Jo likha hai zaroor hoga Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tum se hai Mujhe aadha nahi karna


Haqeeqat hai milan apna Ise sapna nahi karna
Humein tum yaad rehte ho Humein bhoola nahi karna
 
Top