hum bhi karte hain shayri,par hume to shayar kisi ne nahi ka


hum bhi karte hain shayri,par hume to shayar kisi ne nahi kaha
humne bhi ki mohobbat,par hume to aashiq kisi ne nahi kaha¤

hum bhi jaage raato ko tanha,hume to pagal kisi ne nahi kaha
apne khwabo me jaakar uss chehre ko chhua,par un hotho ne bhi kuchh nahi kaha

humne bhi pure dil se unhe chaha,hume to dilwala kisi ne nahi kaha
humne bhi har dua me usse maanga,hume to deewana kisi ne nahi kaha¤

sab sehte hain chupchap bethkar,humne to kisi se kuch nahi kaha
marte hain uss par din raat hum to,par zindagi se kabhi kuch nahi kaha¤

mohobbat to ki hai bepanah unse,jo aaj bhi karte hain yaad
bass itni khata kar li humne, ki unse kabhi kuch nahi kaha..........
 
Top