Hum bhi kabhi mohobbat kiya karte the !!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Jab unki dhun mai raha karte the.......
Hum bhi chup chap jeeya karte the !!

Aankhon mai pyas hua karti thi.........
Dil mai tufan utha karte the !!

Log aate the gazal sunane............
Hum unki baat kiya karte the !!

Such samajhte the unke wado ko.......
Raat din unke khwabo mai raha karte the !!

Kissi virane mai unse milkar..............
Dil mai kya kya phool khila karte the !!

Ghar ki diwar sajane ki khatir...........
Hum unka naam likha karte the !!

Kal unko dekh kar yaad aaya...............
Hum bhi kabhi mohobbat kiya karte the !!!!
 
Top