Hum aapko in aankhon mein yun basaa liya karte hain

Vishal.Sharma

Dard Bhara Dil
Hum aapko in aankhon mein yun basaa liya karte hain,
Ja sake jahan tak hamari yeh nazar,aap ko har jagah paa liya karte hain.

Aap ki yaadon ki mehak se din guzaar liya karte hain,
Na mil sakain aapse kabhi to,aapki tasveer ko seene se lagaa liya karte hain.

Hum na jaante the ke pyaar mein itni tadap hoti hai,
Aap ki yaad mein kabhi tanhai mein,aansu baha liya karte hain.

Deewangi ki had na poochho humse,kalam haath se jab thamte hain..
Bas aapka naam likh likh ke,dil behlaa liya karte hain.

Mayusi jab chaa jati hai chehre pe, Yaad karke aapko,
Aapki kasam tanhaii me hum yun hi muskuraa liya karte hain

Ab laut bhi aao tum hamaari khatir,
Ke aapki aas mein hi har shaam tanha guzaar liya karte hain...!!
 
Top