hindi shayaries

Usko chaha to bahut magar wo mila hi nahi
Lakh koshish ki magar faasla mita hi nahi
Usko zamane ne majboor is qadar kar diya
Ke meri kisi sada pe wo ruka hi nahi
Khuda se jholi phaila ke maanga tha usay
Khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahi
Har aik se poocha sabab uske na milne ka
Har aik ne bataya ke wo mere liye bana hi nahi
Main tamaam umar ki koshish ke bawjood nakaam ho gaya
Aur wo usko mil gaya jis ne usay kabhi maanga hi nahi
Itni shiddat se chaha magar tu kisi aur ka ho gaya
Shayad is jahan mai wafa ka koi sila hi nah
 
Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
Jisko chaha usae hum pa na sake,
Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake,
Ek aur sher sunata hoon——-
Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha;
Ek hum hi akele thei, kafilaa bhi uska tha;
saath chalne ki soch bhi uski thee, Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha;
aaj akele hain…dil sawaal karta hai…
Log to uske the, …kya khuda bhi uska tha????
 
Mere Wajood Ki Jageer Ussne Mangi Hai
Ajab Khawab Ki Tabeer Ussne Mangi Hai
Usski Qaid Me Rehti Hoon Mein Pehle Bhi
Naa Jaane Phir Kyun Zanjeer Uss Ne Mangi Hai
Guman Hota Hai Woh Bhool Sakta Hai Mujhe
Kyunke Aaj Meri Tasveer Ussne Mangi Hai
Mere Khuda Mujhe Usske Naseeb Me Likh De
Ke Mujh Se Meri Hi Taqdeer Ussne Mangi Hai.
 
Mohabbat kyun hoti hai.?
Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte
usi se mohabbat kyun hoti hai…
 
muhobat ke bhi kuch andaj hote hai,
jagti nkho ke bhi kuch khwab hote hai,
jaruri nahi ke gam me hi ansu nikle,
muskurati ankho me bhi sailab hote hai.
 
Apne khwabo ki tabir ki khatir
Meri chhota sa sansar kyon ujar dala
Yad kar wo din ek isara par maine
Bhari mahfil main tujhe apni dulhan bana dala
Par thodi si gurbat ko dekh kar tum ne
Mujhe beijjat aur badnam kar dala
Maine hamesha tujhe pyar kiya hai
Par tune khun ke aansu rula dala
Tumhe rutha hua mahboob samjha tha main
Par tune mujh se bewafai kar dala.
 
किसी को मोहब्बत की
सच्चाई मार डालेगी,
किसी को मोहब्बत की
गहराई मार डालेगी,
करके मोहब्बत
कोई नहीं बचेगा,
जो बच गया उसे
तन्हाई मार डालेगी..
 
Tum aaye zindagi mein ek haseen ehsas bankar,
Aur dil mein bas gaye dhadkano ki har saans bankar,

Tum hi goonjte ho meri geeton mein awaz bankar,
Tum hi baste ho merin nazmo mein alfaz bankar,

Kash kabhi aajao zindagi mein
mere hamraz bankar...
 
Tum phir duir chale jaoge
kaise kahein kitna humhe tadpaoge

baaton baaton mei teri baat aayege
dil ki baat tumse na kah paayenge

hawa bhee choo ker tujhe mere paas na aayegee
har subah teri yaad humhe tadpaayegee

raat chamkenge sitaare aur ichha bhee machlege
baarish ki boondein bhee tapish na bujhaayege

yeh aankhe har aur kisi apne ko dhoondheinge
ban kar aansoo aankho mei yaadein machelge

dil ko raund kar jo bheer mei kho jaoge
jaane kaise phir tum bhee so paayoge...
 
aansu mein naa dhundhna hame,
hum tumhe aankhon mein mil jaayenge,
tamanna ho agar milne ki
to band aankhon se bhi nazar aaenge.

Zindagi ek saza si ho gai hai,
Gam ke saaye mein is kadar kho gayi hai.
Tum kar do ek SMS ye guzaraish hai meri,
Tumhare SMS ki aadat si ho gai hai....!!!

Qayamat tak tujhe yaad karenge,
Teri har baato par aitbar karenge.
Tujhe SMS karne ko to nahi kahenge,
Par phir bhi tere SMS ka intezar karenge...

Dil se hum dillagi kiya nahi karte,
Yeh dil kisi ko diya nahi karte.
Dil ko aapka Email pasand aa gaya,
warna Hum kisi ko itne SMS kiya nahi karte....
 
arzooen kuch adhoori reh gai,
zindagi mein tumhari kami reh gai

muddat hui tujhe woh koocha chchode,
nazar meri par wahin jami reh gai

bahoot kuch sunaya humne magar,
phir bhi baatein unkahi reh gayi

aaj tak ise mein rok nahi paya hoon,
yeh jo aankhon mein nami reh gai

tere lautne ki ummeeed to nahi yeh,
ki meri nabz-e-zeest thami reh gai

dil ko to behlaake hum le aaye,
lekin aapke aastaan pe meri jabin reh gai,

barbaad hue pe bhi "nacheez" shaad hai,
ki kamyaab hozoor ki dillagi reh gai
 
humsafar na mila, to tham gaya tha kaarvan,
Ek Tara bhi humse chhin Gaya maanga jo humne aasmaan

In Udaas Muskurahaton Ke Peeche,Ghum Ke Railay Hain
Ab Tumhain Kya Batayain,Ke Tum Bin Hum Kitne Akele Hain

hume to sirf arz karne ka mauka milta hai
aapne shikayat karne ka haq to kisi aur ko de raakha hai.

Raat ko jalte diye din me Bhuja karte hai
Hum to tere pyaar me din raat jala karte hai

aaj phir hatheli per lakiroon ka samunder dekhu,
la tera haat ki main apna mukkadar dekhu.

Ghadi ghadi hum ghadi dekh kar
us ghadi ka intezaar karenge..
jab aap wapas aajaye,
aur hum aapka deedaar karenge..

har waqt mere saath rehta hai..
bata e dard to rishtey me mera kya lagta hai...​
 
Top