~¤Akash¤~
Prime VIP
koi shikwa na karte kaash hum patthar agar hote
hazaaron thokarein Kha ker bhi gham se bekhabar hote
kabhi ehsaas na hota humein apne paraaye ka
humein bhi pyaar mil jata kabhi paidon ke saaye ka
kisi ko bhaa gaye hote to wo moorat bana leta
pujari ki nazar parti to mandir mein sajaa leta
bhale jis haal mein hote, na hum aise magar hote

na jane aadmi ke naam se kyun darr sa lagta hai
nahi main aadmi ye aaj har chehre pe likha hai
kahaan hain kon hain ye aaj sab se pooch ker dekha
ye sun ke cheekh ker Ghalib keh utha mera saaya
agar insaan hona tha, bahut hi soch ker hote

hazaaron thokarein kha ker bhi gham se bekhabar hote