haqikat se mujhe milwa diya.........................

~¤Akash¤~

Prime VIP
guzar raha tha kal raah se me
ek sakhs ne achaank rok diya
jaane aisi kya baat kahi usne
hairat me mujhe dal diya

kaun tha aur kya keh gaya
shaayad mujhko mujhse milwa diya
the hazar matlab uski baat ke
zara bhar to mujhe samjha diya

hai raftaar zaruri zindagi me
agar raah se jo nazare hata diya
tukdo tukdo kar degi
ek thokar ne jo tumko gira diya

choda tha jise duniya ki beed me
usko bhi mujhse milwa diya
main to khwab sajoke baitha tha
haqikat se mera samanaa kara diya

pake jise pali duniya mene
par kyu ye sawal utha he
kya dhadkano me aaj bhi me hu
ya dil kisi aur ke naam kar diya

ik sawal ne mujhe heran kiya
ik sawal ne mujhe khwab se jaga diya
kya tanha hi behtar thi zindagi meri
jaane kis uljan me mujhe dal diya

wo sakhsh jo mila tha raah me
wo asks tha aaine me mera
paake anjaan ruswai se mujhko
haqikat se mujhe milwa diya
haqikat se mujhe milwa diya.........................
 
Top