Lyrics Haan judaai se darta hai dil (kareeb)

♛Princess

Prime VIP
Haan judaai se darta hai dil
Haan judaai se darta hai dil
Maut se to mein darti nahin
Aur darti to sun le sanam
Sun le sanam
Pyaar tujhse main karti nahin
Pyaar tujhse main karti nahin
Haan judaai se darta hai dil
Haan judaai se darta hai dil

Ek armaan is paar hai
Ek armaan us paar hai
Humne khud hi banayi thi jo
Raaste mein woh deewar hai
Ek khushi dil ne kya maang li
Har khushi ko nazar lag gayi
Zindagi jab kareeb aayi to
Zindagi ko nazar lag gayi

Ab tamanna ho dil main koi
Ab tamanna ho dil main koi
Main tamanna bhi karti nahin
Aur darti to sun le sanam
Sun le sanam
Pyaar tujhse main karti nahin
Pyaar tujhse main karti nahin
Haan judaai se darta hai dil
Haan judaai se darta hai dil

Man se man ka hai bandhan agar
Tan mile na mile kuch nahin
Man ka chandan mehekta rahe
Man hi sab kuchh hai tan kuchh nahin
Aasmaanon mein so jayega
Dastaanon mein kho jayega
Tan kisi roz ban kar dhuaan
In hawaaon ka ho jayega

Pyaar rehta hai zinda sada
Pyaar rehta hai zinda sada
Aatma hai yeh marti nahin
Aur darti to sun le sanam
Sun le sanam
Pyaar tujhse main karti nahin
Pyaar tujhse main karti nahin
Haan judaai se darta hai dil..
 
Top