~¤Akash¤~
Prime VIP
Ye bujhi bujhi si dharkan, ye uljha uljha sa bandhan
Aazaar-e-rooh ka baais, kyun choot-ta nahin hai?
Wo naraz hai jo mujh se, badgumaan hai jo mujh se
Iqraar se hai kyun guraezaan, kyun rooth-ta nahin hai?
Hazaar –ha daleelen de du khud ko rahey wohi baebasi ka alam
Wo aik shakhs hi nahin aakhir, kyun bhoolta nahin hai
Aik bikhra sa rishta hi than a aakhir, jo rog ban gaya hai
Main chahey kuch bhi karloon kyun toot-ta nahin hai?
Meri wehshaton ka darmaan ,merey hoslon ka yazdaan
Haan hai wasaal-e-jaanan, per umeed ka koi beej kyun phoot-ta nahin hai?

lines main nahi likhiya eslai pta nahi kis diyan ne chalo fir
aasi esnu unknown keh skde haan thank you