Ghazal By Behzad Lakhnavi

charanjaitu

Chardi Kala Club
Devaana banana hai to devaana bna day
Verna kaheen taqdeer tamaasha na bna day

Ae dekhnay walo, mujhay hans hans kay na dekho
Tum ko bhi mohabbat kaheen mujh sa na bna day

mein dhoond raha hoon, meri vo shamma kahaan hai
Jo bazm ki her cheez ko pervaana bana day

Aakhir koi surat bhi to ho khaana-e-dil ki
Kaaba nahin banta hai to but-khaana bana day

"Behzad" her ik jaam pay ik sajda-e-masti
Her zarray ko sang-e-dar-e-janna na bana day
 
Top