gham-e-ishk ki masti main jaise kho jata hai koi

~¤Akash¤~

Prime VIP
Kyon dil ko apne rog lagata hai koi..
Kyun jan kar jan apni jalata hai koi..
Kaise hota hai koi pyar main ghayel..
Kaise din rat kisi ko rolata hai koi..
Ham b poocha karte the aksar ye sawal..
K ik shaks k liye b umr ganwata hai koi?..
Ham ne paye kuch aise in sawalon k jawab..
K jaise jalan ki samajh k liye khud ko jalata hai koi..
Ik bar mila woh ham se na jane kya kar gaya..
Ab kisi se milne ki khwahish na irada hai koi..
Yun kho gaye hain us main,aur khoye chale jate hain..
K jaise khud ko kisi ki zat main basata hai koi..
Ham tu ashiq hain ishq kiye jate hain..
Bina soche,kya hamain b chahta hai koi?..
Har dam usi ki soch ,har dam usi ka khayal..
Hairan hain itna b kisi ko chahta hai koi..
Seh raha hai hans kar in ghamon ko ALEEM..
gham-e-ishk ki masti main jaise kho jata hai koi
 
Top