Ek baar Tujh ko kya dekha........

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ek baar Tujh ko kya dekha........

Ek baar Tujh ko kya dekha
Har pal wohi Chehra dekha,
Dharkane Ruk si gayi,
Waqt ko Thehra dekha.

Ek baar Tujh ko kya dekha
Is Dil ko tarasta dekha,
Tu jab dheere se muskurai
Ek phool ko hasta dekha

Ek baar Tujh ko kya dekha
Badla sa ye jahan dekha,
Zameen kahan thi khabar nahi,
Kadmon mai Aasman dekha.

Ek baar Tujh ko kya dekha
Khud se khud ko juda dekha
Yun ruk gayi Tujh per Nazar
Jaise aaj Khuda dekha...
 
Top