Dil ujdi huee aik saraaye kee tarah hai,

Hothon pe mohabbat ke fasaane nhi aate,
Saahil pe samundar ke khazaane nhi aate,
Palkein bhi chamak uth-thi hain sotay mein hamaari,
Aankhon ko abhi khwaab chhupaane nhi aate,
Dil ujdi huee aik saraaye kee tarah hai,
Abb log yahaan raat bitaane nhi aate,
Yaaro naye mausam ne yeh ehsaan kiye hain,
Abb yaad mujhe dard puraane nhi aate,
Uddne dou parindon ko abhi shokh havaa mein,
Phir laut ke bachpan ke zamaane nhi aate,
Iss sheher ke baadal teri zulaf kee taran hai,
Yeh aag lagaate hain,bujhaane nhi aate,
Ehbaab bhi gairon kee adaa seekh gaye hai,
Aate hain magar dil ko dukhaane nhi aate,




Ehbaab…………friends
 
Re: Dil ujdi huee aik saraaye kee tarah

nice one shukar hai tusi ehbaab da matlab das ditta nahi mainu ta pata hi nahi lagna si.
thanx for sharing thing :)


eh poem meri collection ch hai, ehbaab da meaning vee main kise nu puchh ke likhiya hai,
thnx for reading the poem,
 
Top