dil main sameta hua hai samundar humne dard ka fir bhi jaane

~¤Akash¤~

Prime VIP
dil main sameta hua hai samundar humne dard ka
fir bhi jaane kaise muskura paa rahe hain hum
log kehte hain bade khush hain aap to
wo kya jaane is dil ko kaise jala rahe hain hum

socha tha na girne denge in ashkon ko kabhi
kahi humare ashk na de jaaye unko koi gum
magar kitna piye in ashkon ko
ab to inmain doobte jaa rahe hain hum
 
Top