dhoka meri saadgi ka tha…

~¤Akash¤~

Prime VIP
Mujhe dard e ishq ka mazaa maloom hai,
Dard e dil ki inteha maloom hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua naa dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maloom hai..

Bicher jana tu os k liye maenay nahin rakhta,
Jafaon ka apni hissab wo zabani nahin rakhta,
Rota nahin ya osay rona nahin aata,
Sungdil hai ya phir aankhon mein pani nahin rakhta….

Aashna hotey huay bhi aashna koi nahin
Jantey hain sab mujhy pehchanta koi nahin
Mukhtasir lafzon mein ye hai mizaj-e-dosti
Rabta beshak hai sab se wasta koi nahin

Mere aur Us ke chahne me ek farq tha,
Mujhe wo aur Us ko sara zamana chahiye tha

Nadaani mein hum kisse apna samajh baethe,
Jo dikhaaya uss Bewafa ne Sapna, hum haqeeqat samajh baethe
Dekho aaj chod diya hamein, Usne ek Gair ke liye,
Jisse hum apna Humsafar samajh baethe

zakhm itna gehra hain izhaar kya kare
hum khud nishana ban gaye vaar kya kare
so gaye hum magar khuli rahi aankhen
is se zyada unka intzaar kya kare

Bhool jana tha to phir apna banaya kiyon tha
Jhooti ulfat ka yaqin dilaya kiyon tha
Apni chahat ka yaqin dilaya kiyon tha
hooti manzil ka neshan banaya kiyon tha

Wo muskra k dard taal deta hy,
Kisi kisi ko khuda ye kamal deta hy.
Nazar utha k jis ko dekh le wo ek bar,
Yaqeen karo usay mushkil main daal deta hy.

Bus ik zara khayal is dosti ka tha,
Warna bohat gila teri berukhi ka tha,
Mujhko laga mai b teri zindgi men hoon,
Per ye to koi dhoka meri saadgi ka tha…
 
Top