Lyrics Chupke Chupke Ghulam Ali

Jaswinder Singh Baidwan

Akhran da mureed
Staff member
Chupke Chupke
Ghulam Ali
Oh oh oh, aah aah, oh oh oh, oh ho ho
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai - 2
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

Khench le na voh mera parde ka kona daffatan - 2
Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye - 2
Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

Hm mm mm hm, aah aah, mm mm mm mm, mm mm mm hm mm
Berukhi ke saath sunna darde dil ki daastan-2
Woh kalai main tera kangan ghumana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka woh zamana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

Waqte ruksat alvida ka lafz kehne ke liye-3
Woh tere sookhe labon ka thar tharana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka woh zamana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

Waqte ruksat agaya kal wasl kee shabbhee kahi zikre firaaq-2
Woh tera ro ro ke bhi mujhko rulana yaad hai

Top