Chehra mera tha nigaahein uski

SehaJ

Troublemaker
chehra mera tha nigaahein uski
Khaamoshi mein bhi woh baatein uski

mere chehre pe ghazal likhti gayin
sher kahti hoowi aankhein uski

shokh lamhon ka pata dene lagayein
tez hoti hoowii saansein uski

aise mausam bhi guzaare hamnein
subahein jab apani thi shaamein uski

dhyaan mein us ke ye aalam tha kabhi
aankh mahataab ki yaadein uski

faisala mauj-e-hava ne likha
aandhiyan meri bahaarein uski

neend is soch se tooti aksar
kis tarah kat thi hain raatein uski

dhoor rah kar bhi sadaa rahthi hai
mujh ko thaame hoowe baahein us
 
Top