Bus ik nazar us ko dekh lein to zindagi "dena" aasaan hai”

~¤Akash¤~

Prime VIP
Zindagi mein agar sahara mil jaye, tau zindagi aasaan hai
Jis ko chaaha hai agar woh hi mil jaye, tau zindagi aasaan hai

Na hawa chal rahi hai, na asmaan se baras raha hai badal….
Agar uupar se ik dua ka asar hi mil jaye, tau zindagi aasaan hai

Sahra mein talash karte usey, khud hi na bhatak jaein hum….
Agar achaanak pani ki ik boond hi mil jaye, tau zindagi aasaan hai

patchar mein khud ko paton kee zard mein la kar….
Agar achaanak koii manzil mil jaye, tau zindagi aasaan hai

Ab aakhiri lamhaa hain shamah bujhne kay….
Bus ik nazar us ko dekh lein to zindagi "dena" aasaan hai”
 
Top