Bikhari hai jindgi har lamha.....tere bina.

~¤Akash¤~

Prime VIP
Sitam ko sitam se mita diya maine,
Teri yaad ko kabka jala diya maine,
Kar sakta tere pyar ki yaad to karta,
Tujhe main khatm kar sakta to karta,
Bikhari hai jindgi har lamha.....tere bina,

Dil ke phool yoon hi khilate rahe,
Tum bhi mujhse door chalte rahe,
Kabhi door itna ki hum chal na sake,
Saanse bikhari is tarah ki gham kar na sake,
Bikhari hai jindgi har lamha.....tere bina,

Itna hua tha jurm ki "haan" kar na sake,
Haalat hui ishq mein ki shikayat bhi kar na sake,
Tu aa nahi sakti tujhe wafa nibhani hai,
Main tujh tak aa nahi sakta yahi meri kahani hai,
Bikhari hai jindgi har lamha.....tere bina.
 
Top