bheegi palkay by aadi collection

Meri har subha ki ibtida tu hai,

meri hur raat ki inteha tu hai,


mera marz na koi samjh saka,

meray har zakhm ki dawa tu hai,


jab bhi haath uthay Khuda ki janib,

baad hamd-o-sana meri dua tuu hai,


door reh ke bhi tu pass hai meray,

kon kehta hai k mujh se juda tu hai

__________________
######​
Mujhay Parho Tu Zara Aitiyaat Say Parhna
Khud Apni Zaat Main Bikhri Hoee Kitaab Hoon Main


Tum meray dil mein samaao toh koi baat banay
Phir kabhie door na jaao toh koi baat banay

Hum toh chup chup se rehtay hein subbah shaam magar
Tum kabhie aa kar hansaao toh koi baat banay

Rootho so bar hum ko na shikayat hogi
Rooth k maan b jao toh koi baat banay

Saath denay ki toh sab baat kiya kartay hein
Tum agar kabhie saath nibhaao toh koi baat banay......

__________________


Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha

Woh jo uss ki subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawal tha

Mera dard kaisay woh janta, meri baat kaisay woh manta

Woh tou khud fana kay safr mein tha, ussay rokna bhi ma'haal tha

Kahan jao gay muje chor kay, mein pooch pooch kay thak gya

Woh muj ko jawab na day saka, woh tou khud sarapa-e-sawal tha

Dam-e-wapsi ussay kya hua, na woh roshni na woh tazgi

Woh sitara kaisay bikhar gya jo aap apni misal tha

Woh mila tou sadyoon kay baad bhi merey lab pe koi gila na tha

Ussay meri chup ne rula diya jissay guftugoo mein kamal tha


-------------------------------


Zakhm itnay gehray hain k izhar kia karain
Ham kud nishana ban gae waar kya karaen
Mar gae ham magar Khuli rahi Ankhen
Ab is se zyada unka intizar kia karaen

------------------


meri ankhien rakh lo mujey kuch khwab dey do.

jis mien tumhari jhalak ho aisi sharab de do

chalo choro sari batien ek baat maan jao

meri sari umer ley lo bus ek pal ka saath dey do ...
----------

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai ;
Kahan ho tum ki yeh dil be-karaar aaj bhi hai !

Woh vaadiyan woh fizayain ki hum miley they jahan ;
Meri wafa ka wahin par mazaar aaj bhi hai !

Na jaanay dekh kay kyon unko yeh hua ehsaas ;
Ki meray dil pay unhey ikhteyaar aaj bhi hai !

Woh pyaar jiskay liyey humnay chod di duniya ;
Wafa ki rah pay gaayal woh pyaar aaj bhi hai !

Yakeen nahin hai magar aaj bhi yeh lagta hai ;
Meri talaash

mein shaayad bahaar aaj bhi hai !

Na pooch kitnay mohabbat kay zakhm khayey hain ;
Ki jinko soch kay dil sogwaar aaj bhi hai !

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai,
Kahan ho tum ki yeh dil be-karaar aaj bhi hai

 
Top