beti

Mein beti bankar aayi hoon
Maa-baap ke jeevan mein
Basera hoga kal mera
kisi aur ke aangan mein
Kyon yeh reet bhagwan ne banayi hogi
kehte hain aaj nahi toh kal tu parayi hogi
De kar janam pal-poskar jisne hamein bada kiya
aur waqt aaya toh unhi haathon se hamein vida kiya
betiya isse samajhkar paribhasha apne jeevan ki
bana deti hai abhilasha ek atoot bandhan ki
kyon rishta hamara itna ajeeb hota hai
kya bas yahi hum betiyon ka naseeb hota hai
 
Top