batao kahan milo gay tum tumhain aik phool dena hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
Batao kal kahan milo gay tum
tumhain aik phool dena hai
tum se aik ehad lena hai

tumhain emman kehna hai
tumhain dil dharkan jaan kehna hai
jo juda karnay ki hain sazishain
unhain bejaan kehna hai
haan tum sai bohat kuch kehna hai
mohabbat main aik phool bohat hooga?
ya tum chaand maango gay?
ya meri jaan mango gay?
kia hamesha ka tum saath mago gay?
ya phir hijr ka azab mango gay

batao kahan milo gay tum
tumhain aik phool dena hai
 
Top