barsati

golugill

Member

barsati hain aankhein tanhayi mein baadal ki tarah ,
bun gyi hai zindgi siaah kaajal ki tarah .
tum jab se chale gye meri zindgi se ,
firta hun galiyon mein paagal ki tarah .
main tumara tha tum mere the kabhi ,
ye bhoolna chaahta hoon beetey kal ki tarah .
tarak (droppe) kar diya iraada shehar jaane ka ,
jab dekha shehar bhi hai bilkul jungle ki tarah .
khayal aata hai jab bhi harjaayi 'gill' ka ,
veeraana bhi lagta hai mehfil ki tarah .
 
Top