Barish ki tarah shor nahi karti,jheel ki tarah wo bahti thi.

~¤Akash¤~

Prime VIP
ab usi ghar main tab se,ek pagal insan rahta hai
mujhe chor ke mat jao,parchayiyon se kahta hai
bas saye woh dekhata hai,parchiyan pakarta hai
jab jab us ko dekhana ho,aaina dekha karta hai
jab kabhi bhi pyar karo,pyar ko jane mat dena
jo tumko pooje us ko tum,pyar main tane mat dena
warna parchai ko pakroge,aur saye rah jayenge
apana ek na payoge ,sab praye rah jayenge
Aaj samjha wo uski diwani aankhe kya kahti thi
Ek ladki pagal diwani gumsum chup chup si rahti thi
Barish ki tarah shor nahi karti,jheel ki tarah wo bahti thi..!!!
 
Top