Bachpan

Ye daulat bhi le ye shohrat bhi le lo..
bhale chheen lo
mujhse meri jawani..
magar mujhko lauta do wo
bachpan ka sawan wo kagaj ki kishti wo barish ka
pani..
wo mohalle ki sabse nishani purani..
wo budiya jise bachche kahte the nani..
wo nani ki bato mein
pariyo ka dera..
wo chehre mein jhuriyo ka sadiyon ka phera..
bhulaye nahi bhool sakta hai koi..
wo chhoti si raatein wo lambi kahani..
Kadi dhoop mei apne ghar
se niklana..
Wo chidiya wo bulbul wo titli pakadna..
Wo gudiyo ki shadi mei ladna jhagdana..
Wo jhoolon se girna aur girke sambhalna..
Wo peetal ke chhallo ke
pyare se tohfe..
wo tuti huyi choodiyon ki kahani..
Kabhi ret ke beech teelo mein jana..
gharounde banana aur banake mitana..
Wo masoom chahat ki
tasveer apni..
wo khwabo khyalo ki jagir apni..
na duniya ka gam tha na rishto ka bandhan..
bhulaye nahi bhul sakta hai koi..
Vo Bachpan.......UNKNOWN
 
Top