Aur tumko pyaari thi apne purkhon ki viraasat

~¤Akash¤~

Prime VIP
Na tujh pe jafaa ka koi ilzaam
Na main apni ulfat pe sharmsaar

Tagaaful na pashemaani na koi shikayat
Bus zindagi ko dekha apne apne andaaz se humne

Main ishq ko samajhta hoon zindagi ka muqaddar
Tu ne muqqadar ko bus zindagi samjha

Main jin zulmaton pe uthaata raha barbat-e-bagaawat
Tu ne unhi aqaayud ko roshni samjha

Main banaata hi raha haseen khwaabon ke ghrondey
Mujh ko na tha pataa ki tera guzar in mein kahaan

Tu to dhoondhti phirti thi ik kafas sandali
Mare tasavvur mein tha tere liye ik aazaad jahaan

Maine to chaaha tha tum humqadam ho ke chalo
Tumne visay main paya hai magar aqeedat ka bharam

Meri ulfat to thi baraabar ki dosti
Teri ulfat rahi meri mohtaaj-e-karam

Meri tamanna thi ki tu mujhay “tu” ho ke mile
Tu ne khudi ko apni bikne ke liye paala tha

Meri hasrat ki tu ise apne ehsaas mein rakh kar ke jiye
Tu ne parastish ke liye jise ab talak sambhaala tha

Na tujhse thi mujhe parastish ki aarzoo
Na khud mujhe tha shauq-e-aqeedat

Main tujh main dhoondhta phirta tha ik khuddaar mehboob
Aur tumko pyaari thi apne purkhon ki viraasat
 
Top