apne anchal ko mera kafan bana dena maa

~¤Akash¤~

Prime VIP
Maan kyun mujhey tumne janm diya
Kuch bhi to jindagi mein hasil na kiya
Har pal ye duniya tarpati hai maa
Ghoot ghoot ke main roj marta hoon maa

bebasi ne mujhe hai tumse door kiya
is shahar ne sapno ko choor kiya
mere dil ke dard ko mahsoos na kiya
Tere god me fir sone ko man karta hi maa

Nahi chahiye ye udhar ki zindagi maa
Ye zindagi har pal rulati hai maa
Tum to ghar me ho door bari
Mere halat se anjaan kahin
Tera beta yahan chupchap hai bilakh raha
Apne anchal me mujhe sone do maa

mar gaya jo larte larte
har julmo sitam ko sahte sahte
tujhey to fir dookh doonga na
mujhey fir se bula lo na maa
Apne god me sula lo na maa

Har gaya hoon is duniya se
In rishton ke beech ki dooriyan se
apne hathon se kabhi to
mera ansoo pocho na maa
apne kaleje se mujhe chipka lo na maa

Ye jo mere ansoo hain
nahi chahta tujhey dikhana maa
Sochogi kaisa majboor hai tera laal
Khud hi sare dookh sahoonga maa

Kya karoon ki duniya bahut sangdil hai
rasta hai na koi meri manjil hai
zindagi ne kabhi hansi to diya naa
Tumhi to kuch kah do na maa

kya likhoon ki shabd nahi dete sath
akhon me hain ansoo bhara
ab ye dard nahi saha jata
har pal main maut ke paas aa raha
kash ki main bhi tere liye kuch kar pata maa

mujhey ab gahri neend me sone do na maa
meri ek iccha puri kar do na maa
mar jaoon to tum mat rona maa
apne anchal ko mera kafan bana dena maa
 
Top