Old Lyrics Ai khuda ai khuda aisa main kya kiya - Kishore Kumar song

ai khuda ai khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
ai khuda ai khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
jab teri duniya ka har kaam hain ulta
kya meri khata jo mujhse hua koi kaam ulta sidha
ai khuda ai khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
ai khuda ai khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa

bachcha tadpe zakhmi roye mamta
insaan hu aakhir main kaise na sunta
bachcha tadpe zakhmi roye mamta
insaan hu aakhir main kaise na sunta
rote ko hasaaya bigdi to bana aaya
kya meri khata jo mujhse hua koi kaam ulta sidha
ai khuda ai khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
ai khuda ai khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa

murat pe to ganga jal jag fenke
majbur ko jalta ghar koi na dekhe
murat pe to ganga jal jag fenke
majbur ko jalta ghar koi na dekhe
vo ghar ko bachana tha fir malik tu hi bata
kya meri khata jo mujhse hua koi kaam ulta sidha
ai khuda ai khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
ai khuda ai khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa

ek din to hua aisa sun daata
main chor na tha fir bhi pakda jaata
ek din to hua aisa sun daata
main chor na tha fir bhi pakda jaata
to pet bujurgo ka bharta na to kya karta
kya meri khata jo mujhse hua koi kaam ulta sidha
ai khuda ai khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
ai khuda ai khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
teri duniya hain mujhse khafa
teri duniya hain mujhse khafa

baate meri jhuthi sahi pyar to mera sachcha hain
hisse ke dil jaate hain mil
jhuth vo sach se achchha hain
tumko yahi paane ka rasta tha jaanevafa
kya meri khata jo mujhse hua koi kaam ulta sidha
ai khuda ai khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
ai khuda ai khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
 
Top