Ab zakhm-e-tamanna ki dawa dhoond rahe hain.

~¤Akash¤~

Prime VIP
Duniya se wafa kar ke silaa dhoond rahe hain,
Hum loug bhi naadaan hai yeh kya dhoond rahe hain.

Kuch deir thehar jaaiye banda-e-insaaf,
Hum apne gunaahon mein khataa dhoond rahe hain.

Yeh bhi to sazaa hai ke giraftaar-e-wafa hoon,
Kyun loug mohabbat ki sazaa dhoond rahe hain.

Duniya ki tamanna thi kabhi humko bhi Danish,
Ab zakhm-e-tamanna ki dawa dhoond rahe hain.
 
Top