Full Lyrics Ab Ladna Hai Poem - Chhapaak - Deepika Padukone - Vikrant Massey - Lyrics

Goku

Prime VIP
Staff member
Dekh samajh ke gaur karna hai
Thodi si koshish aur karna hai
Ab ladna hai!

Har chehre ko sawarna hai
Chaand ka daag bhi bharna hai
Ab ladna hai!

Maila mausam saaf karna hai
Zindagi se insaaf karna hai
Ab ladna hai!

Beemaar nazar ka ilaaj karna hai
Jo kiya nahin tha aaj karna hai
Ab ladna hai!

Ab seham seham ke nahin rehna hai
Buland aawaaz mein ab kehna hai
Ab ladna hai,
Ab ladna hai!
 
Top