Aakhen band nazar aata tha...

<~Man_Maan~>

DEATHBEAST
Kabhi use khud mein mera aks nazar aata tha,
Apne aayine ke darpan me ye naa cheez shakas nazar aata tha,
Ab saamne khade ko bhi nazar andaaz kar guzar jaate hai wo,
Jinhe "MAAN" lakho ki bheed mein kar aakhen band nazar aata tha....

Ye waqt ka badlaav hai yaa dhalti zindagi ka asar,
Jo mujhe maar kar rahe hai wo zinda laash ik nashar,
Ab us dil ke aashiaana me basar koi gair karta hai,
Jahan "MAAN" subaho sham shirkat karta nazar aata tha...
Ab saamne khade ko bhi nazar andaaz kar guzar jaate hai wo,
Jinhe "MAAN" lakho ki bheed mein kar aakhen band nazar aata tha....

Wo kehte the aaina haqikat dikhata hai,
Main aur tu hein ek ye raaz batata hai,
Tabh dekha tha pehli dafa uske aks ko khud mein maine,
Us pehle to mujhe bhi aaine main apna hi chehra nazar aata tha...
Ab saamne khade ko bhi nazar andaaz kar guzar jaate hai wo,
Jinhe "MAAN" lakho ki bheed mein kar aakhen band nazar aata tha....

Chand se agar chandni muh mod le to chand ka kya wajood reh jaayega,
Ishq jalati hai aashiqo ko jis aag me us aag ko paani kahan bhujha paayega,
Ye wo rog hai jo dawa nahi dua mangta hai apni nahi mehboob ki,
Haar chuka hai MAAN us khel ko jise wo kabhi jeet ta nazar aata tha....
Ab saamne khade ko bhi nazar andaaz kar guzar jaate hai wo,
Jinhe "MAAN" lakho ki bheed mein kar aakhen band nazar aata tha....


__________________________________________________________



कभी उसे खुद में मेरा अक्स नज़र आता था ,
अपने आईने के दर्पण में ये ना चीज़ शक्स नज़र आता था ,
अब सामने खड़े को भी नज़र अंदाज़ कर गुज़र जाते है वो ,
जिन्हे "मान" लाखों की भीड़ में कर आखें बंद नज़र आता था ....

ये वक़्त का बदलाव है या ढलती ज़िन्दगी का असर ,
जो मुझे मार कर रहे है वो जिंदा लाश एक नशर ,
अब उस दिल के आशिआने में बसर कोई गैर करता है ,
जहाँ "मान" सुबहो शाम शिरकत करता नज़र आता था ...
अब सामने खड़े को भी नज़र अंदाज़ कर गुज़र जाते है वो ,
जिन्हे "मान" लाखों की भीड़ में कर आखें बंद नज़र आता था ....

वो कहते थे आइना हकीकत दिखता है ,
मैं और तू हैं एक ये राज़ बताता है ,
तभ देखा था पहली दफा उसके अक्स को खुद में मैंने ,
उससे पहले तो मुझे भी आईने में अपना ही चेहरा नज़र आता था ...
अब सामने खड़े को भी नज़र अंदाज़ कर गुज़र जाते है वो ,
जिन्हे "मान" लाखों की भीड़ में कर आखें बंद नज़र आता था ....

चाँद से अगर चांदनी मुह मोड़ ले तो चाँद का क्या वजूद रह जाएगा ,
इश्क जलाता है आशिकों को जिस आग में उस आग को पानी कहाँ भुझा पायेगा ,
ये वो रोग है जो दवा नहीं दुआ मांगता है अपनी नहीं महबूब की ,
हार चूका है "मान" उस खेल को जिसे वो कभी जीतता नज़र आता था ....
अब सामने खड़े को भी नज़र अंदाज़ कर गुज़र जाते है वो ,
जिन्हे "मान" लाखों की भीड़ में कर आखें बंद नज़र आता था ....


------------------------------------ਮਨ ਮਾਨ----------------------------

NmTSluV-1.jpg
 

Attachments

  • aa.jpg
    aa.jpg
    218.6 KB · Views: 155
Last edited:
Top