Full Lyrics Aaj Bhi - Vishal Mishra - Lyrics

Goku

Prime VIP
Staff member
Naa dard hai naa ghamm tere
Naa ishq naa teri woh chahtein
Haan khush hun main tere bina
Naa mujhme bachi kahin teri aadtein

Hai phir kyon aakhon main nami
Kyon main rota hun aaj bhi
Kya khalti teri hai kami
Kyon main rota hun aaj bhi

Hai phir kyon aakhon main nami
Kyon main rota hun aaj bhi
Kya khalti teri hai kami

Tumne kaha tha saath jiyenge
Honge judaa na hum kabhi
Haath yeh thame chalti rahungi
Waqt yeh le jaye kahi

Tumne kaha tha saath jiyenge
Honge judaa na hum kabhi
Haath yeh thame chalti rahungi
Waqt yeh le jaye kahi

Jhooti hai yeh saari kasmein
Saare vaade pyaar ke
Dafan main unko hun kar aaya
Jashan main apni haar ke

Hai phir kyon aakhon main nami
Kyon main rota hun aaj bhi
Kya khalti teri hai kami
Kyon main rota hun aaj bhi

To phir kyon aakhon main nami
Kyon main rota hun aaj bhi
Haan khalti teri hai kami
Jo main rota hun aaj bhi
 
Top