aaina haath mein hai to ghabra rahe hain aap

~¤Akash¤~

Prime VIP
Woh baat sach agar hai jo farmaa rahe hai aap
kyun baar-baar meri kasam khaa rahe hain aap

be- soche samjhey aap ko apna samajh liya
pachtaana mujhko chahiye, pachtaa rahe hain aap

kyaa cheez hai fareb koi seekhe aap se
kashti meri bhanwar mein hai chakraa rahe hain aap

kahte the hum karenge muqabil ka saamna
aaina haath mein hai to ghabra rahe hain aap
 
Top